Namaz me jo aap padhte ho
us ka tarjuma kya hai samjh lo samjh k padhoge to aap ko namaz padhne me pata chalega aap kya padh rahe ho
SANA:-
Subhanaka Allahumma Wa Bihamdika Wa tabarakasmuka Wat'ala Jadduka Walaa ilaha Gairuka.
TARJUMA:-
Aye Allah ! Mein Teri Paaki Bayan karta hu aur Teri Taarif Karta hu aur Tera Naam Barkatwal Hain, Buland Hain Teri Shan, aur Nahi Hain Tere Siva Koyi.
RUKU ME:-
Subhana Rabbiyal Azim
TARJUMA:-
Paak he mera Rab Azmat wala
RUKU SE UTHTE WAQT:-
SamiAllahu Liman Hamida.
Rabbana Lakal Hamd.
TARJUMA:-
Allah ne uski sunn li jisne uski taarif ki.
Aye hamare Rab, tere hi liye tamam taarife he.
SAJDE ME:-
Subhana Rabbiyal A'ala.
TARJUMA:-
Paak he mera Rab Badi Shan wala.